Posts

ADE RAHO

Image
Gar junoon ho sarpe tere, Aur antar mein ho vishwas, Phir thokar aur thukraneka, Hoga kahaan tumhe ehsaas. Maqsad me sacchai hai toh, Sina thok ke yahi kaho, Maqsad me sacchai hai toh, Sina thok ke yahi kaho, Jhukna hoga duniya tumko, Vishwas pe apne khade raho, Ade raho,Ade raho. Duniya badli hai jisne bhi, Pehle usko inkaar mila, Apmano ka haar mila, Aur daano ka uphaar mila. Harr shwas me ab vishwas bharo, Aur lehro ke viprit bahoo, Hathon me vijay mashaal liye, Vishwas pe apne khade raho, Ade raho,Ade raho. Apne sapne tum swayam chuno, Aur boonlo vishwas ki dori se, Tum vijay garjana ke nayak, Tumko kya karna lori se, Tum swayam iss sidh iss jivan ke, Mukth  gagan me udte chalo, Aarambh aajse navyug ka, Vishwas pe apne khade raho, Ade raho,Ade raho.

DARR SE MAT DARR

Image
Darr!!  Darr se mat dar, Kuch alag kar, 6 ungliyon wala kabhi kalakar nahi ban paayega, darr tujhe yeh samjhayega, Par tu atmwishwas dikhayega, Tu darr se ankh milayega. Darr se mat darr, Kuch alag kar, Darr ka saamna kar, aage badh, Kuch alag kar, Zindagi ke harr mod pe tujhe yeh dard sataayega, Aur usi dard ka faayda yeh darr bina chuke yeh darr uthayega, Tujhse kahega ki tu aage kuch nahi kar paayega, Parr woh likh kar de paayega ki tu haar jaayega. Teri harr kamzori par yeh darr ghar banayega, Par tu apna hunaar dikhayega, Usi kamzori ko tu apni taaqat banayega, Uss din yeh darr tujhse darr jayega. Darr ka khel nidarr hoke khel, Darr se mat darr, Darr se mat darr, Aage badh, bhula de darr, kuch alag kar.

Tum Mujhe Kab Tak Rokoge

Moothi mein kuch sapne lekar, Bharker jebon me aashayein, Dil mein hain armaan yehi, Kuch kar jayein,Kuch kar jayein. Sooraj sa tej nahi mujhme, Deepak se jalta dekhoge, Apni hadd roshan karne se pehle, Tum mujhko kab tak rokoge, Tum mujhko kab tak rokoge. Mein uss maati ka wriksh nahi, Jisko nadiyon ne seecha hain, Banjar maati mein palkar maine, Mrityu se jeevan kheecha hai, Main patthar par likhi ibaadat hu, Sheeshein se kab tak todoge, Mitne wala mein naam nhi, Tum mujhko kab tak rokoge,Tum mujhko kab tak rokoge. Iss jag mein jitne julm nahi, Utne sehne ki taaqat hain, Taano ke bhi shor me rehkar, Sach kehne ki aadat hain, Mein sagar se bhi gehra hu, Tum kitne kankad phekoge, Chun chun kar aage badhunga mein, Tum mujhko kab tak rokoge,Tum mujhko kab tak rokoge.  Jhuk Jhuk kar sidha khada hua, Ab phir jhukne ka shauk nahi, Apne hi hatho likha swayam,  Tumse mitne ka khauf nahi, Tum haalato ki bhatti me, jab j...