DARR SE MAT DARR

Darr!!  Darr se mat dar,
Kuch alag kar,

6 ungliyon wala kabhi kalakar nahi ban paayega, darr tujhe yeh samjhayega,
Par tu atmwishwas dikhayega,
Tu darr se ankh milayega.

Darr se mat darr,
Kuch alag kar,
Darr ka saamna kar, aage badh,
Kuch alag kar,
Zindagi ke harr mod pe tujhe yeh dard sataayega,
Aur usi dard ka faayda yeh darr bina chuke yeh darr uthayega,
Tujhse kahega ki tu aage kuch nahi kar paayega,
Parr woh likh kar de paayega ki tu haar jaayega.

Teri harr kamzori par yeh darr ghar banayega,
Par tu apna hunaar dikhayega,
Usi kamzori ko tu apni taaqat banayega,
Uss din yeh darr tujhse darr jayega.

Darr ka khel nidarr hoke khel,
Darr se mat darr, Darr se mat darr,
Aage badh, bhula de darr,
kuch alag kar.

Comments

Popular posts from this blog

Tum Mujhe Kab Tak Rokoge

ADE RAHO