Tum Mujhe Kab Tak Rokoge

Moothi mein kuch sapne lekar,
Bharker jebon me aashayein,
Dil mein hain armaan yehi,
Kuch kar jayein,Kuch kar jayein.

Sooraj sa tej nahi mujhme,
Deepak se jalta dekhoge,
Apni hadd roshan karne se pehle,
Tum mujhko kab tak rokoge, Tum mujhko kab tak rokoge.

Mein uss maati ka wriksh nahi,
Jisko nadiyon ne seecha hain,
Banjar maati mein palkar maine,
Mrityu se jeevan kheecha hai,
Main patthar par likhi ibaadat hu,
Sheeshein se kab tak todoge,
Mitne wala mein naam nhi,
Tum mujhko kab tak rokoge,Tum mujhko kab tak rokoge.

Iss jag mein jitne julm nahi,
Utne sehne ki taaqat hain,
Taano ke bhi shor me rehkar,
Sach kehne ki aadat hain,
Mein sagar se bhi gehra hu,
Tum kitne kankad phekoge,
Chun chun kar aage badhunga mein,
Tum mujhko kab tak rokoge,Tum mujhko kab tak rokoge. 

Jhuk Jhuk kar sidha khada hua,
Ab phir jhukne ka shauk nahi,
Apne hi hatho likha swayam, 
Tumse mitne ka khauf nahi,
Tum haalato ki bhatti me, jab jab bhi mujhko jhonkoge,
Tap Tap  kar sona banunga mein,
Tum mujhko kab tak rokoge,Tum mujhko kab tak rokoge. 


THEY SAY LIFE IS TOO SHORT
TO HOLD GRUDGES
I THINK LIFE IS TOO SHORT
TO BE LETTING
PEOPLE GET AWAY WITH
THE SAME SHIT...

Comments

Popular posts from this blog

ADE RAHO